Friday, October 30, 2009

[ Alwida keh do ]

Ab wakt-e-judayi hey mujhey ab alwida keh do
Ab phir wo tanhayi hey mujhey ab alwaida keh do

Main lakh bura thehra hon yaron ki nazar main
Dil ro to raha hey magar ab alwida keh do

Merey AANSOO to merey hain meri khushian tumhari hain
Mobarak tum ko yeh khushian mujhay ab alwida keh do

Merey janey pey na rona mujhey tum yaad na karna
Main tanha tha main tanha houn mujhey ab alwida keh do

Mujhey afsoos to hoga youn sab sey door janey ka
Meri yadoon main tum sab ho mujhey ab alwida keh do

Kisi key dard ki wajah kisi key dukh ka main sabab
Bano ga ab kabhi na main mujhey ab alwida keh do

Mujhey choora tha apno ney mujhey apnaya tab tuney
Tera ahsaan mand houn main mujhey ab alwida keh do

Meray AANSOO nahi ruktey mujhey ab dard hota hey
Na mera dard barhney do mujhey ab alwida keh do

Mujhey jo piyar kartey they mujhey jo apna kehtey they
Wohi ab door hum sey hain mujhey ab alwida keh do

Mujhey kaafley ki talab na thi mujhey manzilo ki chah na thi
Mera dard mera tha humsafer mera dard meri hayaat thi

Mujhey tuney chalna sikha dia mujhey manzilo ka pata dia
Main naa chal sakon ga terey sath ab mujhey alwida keh do ..

Thursday, October 29, 2009

[ AdhuRaa PiyAar ]

Chalo tum Saath mat Daina . .

Mujhy Beshak Bhula daina

Naye Sapny Saja lena
Naye Rishtey bana lena

Bhula Daina Sabhii Waady
Sabhi Qasmeen,
Sabhi Naaty

Tumhen jaanan Ijazat hai
Jo Dil Chahey Wo sab karna

Magar . .

Ab tum kisi se Bhi . .

Adhora Piyaar Mat Karna . .

[ Neend ]

Na abr he na hawa,
Neend Q nahi aati !

Baras chuki he ghatta,
neend Q nahi aati !

Naye naye they judai k din to baat bhi thi

Woh daur beet chuka,
Neend Q nahi aati !

Bichar hi jatey hain duniya mei chahney waley

Chalo huwa so huwa,
Neend Q nahi aati !

Ye izteraab kahan tak jagaye ga mujhko

k chaand doob chuka,
Neend Q nahi aati !

Yeh ratt'jagey dil-e-betaab maar daalain gey

Kiya ilaaj he kya ?
Neend Q nahi aati !

[ w0h Kehti Thi ]

Jaayain jaa kar shirt utarain
dosri pehnain

yeh tu match nahi karti hey

jaayain jaa kar tie lagayain
purple tie

shoe tu maine raat hi polish kar dalay the

phir yeh aap ne kyun pehne hain

dekhiye sox bhi thik nahi hain

phir jab mai yeh sab kuch kar k chalne lagta hon

us k honton par bosa karta ..
aur usey bahoon mai bharta

masnoee ghabrahat 0rrh k sar goshi mai mujh se kehti

thehriye thehriye

yeh khusbooo

thorra sa perfume to lagalain ..

maana aap saada hain

lekin jaana!!!!

office janay se pehle to
apne baal banaya kijiye . . .


AUR AB !!!

meli shirt aur udhre kaaj
melay kular button khule hain

tie nahi hai shave bharrhi hai
baal uljhay hain

ankhain neend se bojhal hain aur
jotay par bhi gird jammi hey

is huliye mai ghar se nilkla to yaad aaya

w0h Kehti Thi . . .
w0h Kehti Thi . . .

[ Pagal Lerki ]

Pehley merey khat key usney
Ik anjaney khoof key dar sey
tukdey tukdey ker daaley

AB

Aik haseen Ehsaas ki tarah
Jiska koi naam nahin hey
Pichley kitney hi Ghantoo sey
Derwazey ki oot main chup ker
Tukdey joorr rahi hey
.... Pagal ....

[ Anguthiyaan ]

Mainey yeh kaam apni khushi sey kia,
ya kisi majburi k tehet !

Maloom nahi ..

Lekin!

Yeh howa hey,

K mainey,
apni tanhaaiyoun ki ungliy0un se

Tumhari yaadoun ki Anguthiyaan,
utaar Phenki hain ..

[ Sab Kuch Lauta do ]

Aaj woh muddat baad aayi,
bus yeh kehney ..

janaa'n !

Mere saarey khatt lauta do,
sab tasveerain, kalam kitaabain
Wapis kerdo saarey tohfay ..

Mujhsey sab kuch maangney wali,

jaatey jaatey ,

mere kamrey ki chokhatt per

chorr gayi hey ..
"Apney Aap " ..

[ Nanhi maas0m lerrki0n ]

Aey Nanhi Maas0m lerrki0n ..... Tum !
Kabhi kisi sey bhi dukh na kehna ..

In Aanchalon se,
Khanakti rangeen chorri0n se,
Badan ki apni hi khushbu'oun se,
palak ke utthney palak jhapakney ki sa'at0n se

Chhat0n ke koono'n main chhup k bethi
woh shookh-0-shang aur naaz perwari Chaandni se

Diy0n ki loo se ..

Yaa,
Un kutub se keh jin main phoolon k,
titlioun ke hasee'n dukh hon

palang per silvat0'n bhari saaf chaadaroun se,
Gudaaz taki0un se jon mian zulfoon ki khushboyain rakhs ker rahi h0n ..

tum Aayinon aur jugnuon se
sahelioun aur dostoun se,

Kabhi bhi maas0m lerrki0n tum .. !

Woh Dukh na Kehna ..

[ Dekhain Jaanu ]

Dekhain Jaanu aap is baar
jaldi jaldi khatt likhiyega

WArna........... Warna ............!
Warna main kya ker sakti h0n !

Roo loungi bus ..



Ab se kitney mausam peechey
main uskey khatt pey roya tha,

Shayad pura hafta meri Aankhoun main laali rachi rahi thi ..

Aur ab itney arsey baad
Aaj puraaney dard khangaaley

pichley kitney ghant0n se
apni is naadaani per main

Reh Reh ker hans parrta h0n ..


Lekin ! Dour kahi aankh0n main
anjaana sa aansu ab bhi
Uthta he, aur dab jata he ,
Chhup jata hey ..


Jese kitney mausam peechey ,
Shaayad pura hafta Meri Aankh main laali rachi rahi thi ..

[ Ek sAcH ]

Tumney mujhey mohabbat di

itni key
Shayed !
main haQdaar bhi na thi ..


Is mohabbat ke saath hi merey dil main,
ik darr tha !

Tumhari Judaayi ki ..


Dekh Lo Jaana'n ..
Aaj mera yeh darr sach saabit howa hey ..

[ r0g ]

Saath chalney waley jab
saath chorr jatey hain

waqt tham nahi jata
koi mar nahi jata

raston ko chalna hey
rastey to chalte hain

yaar dost milte hain
zakhm aesey silte hain

gard gard lamhon main
umar kat hi jati he

kuch musaafiroun ko bus
manzilain nahi milti

Na-jaaney Q !
bichherr jatey hain LoG ?

Jinki yaadain ban jati hain,
umer bher ka RoG ..

[ Aaj ka din bhi udaas guzra ]

Judayi ki kasak liye..
teri yaad se jurra Aansu,

her shab ki aankh se tapka he..

Guzre kal ki tarha aaj ka din bhi..
Tum Bin..
Udaas Guzra he ..

[ Kitaab-e-mazi ]

Bohat Hi Muddat K Baad Kal Jab

Kitab-E-Mazi Ko Mainey Khola


Bohat Se Chehray Nazar May Utray
Bohat Se Naamo Per Dil Pasija


Aik Aesa Safha Bhi Usmain Aya
Likha Howa Tha Jo Ansoun Se


Jis Ka Unwan ,
HAMSAFAR Tha ..



Kuch Aur Anso Us Per Tapkay
Phir Us Se Agay Main Parh Na Saka


Kiitab-E-Mazi Ko Band Kar K
UsKi Yadoon May Kho Gaya Main


Agar Woh Milti To Kaisa Hota
In Hi Khayalon May So Gaya Main ..

[ Mere hoker Nahi dete ]

Jitni Duayain aati thii'N ,
Sab Maang lii humney ..


Jitney Wazeefay yaad they ,
Saarey ker bethay hain ..


Kayi tarha sey Jii dekha hey ,
Kayi tarha sey Mar bethay hain


Lekin Jaana'n !


Kisi bhi Surat ..
Tum Mere hoker Nahi Detey . .

[ iK Anjaani Si TasvEer ]

[ writer AL¡ RazÄ ]




Kayi ghant0n tak, Tanha bethey rehne per s0cha


Q na !


Puraani Tasveerain dekh k waqt Guzaar Loun !


ik ph0to album utha k
yaad-e-maazi mai

Gum sum safhay palat'ta jaa rha tha


keh,


Meri nazar,
album k beech chhupi h0wi


ik jaane pehchane shakhs
( jo ab anjaan ban chuka he mere lye )
ki tasveer pe padi


jise dekhtey hi,


Mai apne zehen pe gard jami purani yaad0n mai laut aaya..

Us shakhs ki tasveer ko haath mai uthaye


apne r0om ki khirrki pe betha,
Äadhey tanha chaand ko takta raha


toh. . yaad aaya keh !


saath jeeney,
saath marney ki kasmain khaayi thi humne


Aur aaj W0h mujhse d0ur
kis haal mai h0ga !
Kesa h0ga !
Kya karta h0ga !


Kis tarha jeeta h0ga w0h mere bagair !



Bus..


apney bichherney ka daur yaad kya,


Halaat se majb0ur h0kar hum,
ik dujey se kis tarha juda h0we thay !




Inhi s0ch0n k saath

Uski Tasveer ko ch0omta,
seeney se lagata, Aur roo parrta ..


Uski yaad mai chalakti aankh0n ko band kar k


Usay s0chta raha,


keh . .Agar w0h aaj mere saath h0ti
to Har ik khushi bhi apne saath h0ti


JANAA ko apney be'bas khayaal0n mai lye


Unhi yad0n k saath,


akela Tanha


kamrey k Udaas k0ney mai


sisak kar ,
s0gaya..