Sunday, May 23, 2010

[ JudaaYi Ki Paanchvii'n SaaLGiraH ]

Jii main he

Aaj ki shab us kay liye jaag kay kati jaaye


w0h jo aankh0n say paray

Ajnabi dais ki gum'naam hawaoon main baithi he ..


kiYa mohab'bat kay liye yeh bhi zaroori he

keh main ~~
us kay chehray ko

khad-o-khaal main la kar daikh0n ??


sach to yeh he

keh mujhay yaad nahi,
kay uski jabeen kaisi thi ??

hoont kaisay thay !!
badan kaisa tha !!
aankhain kaisi thii'n !!


Bas ~~ yeh yaad he

keh w0h

jaisi nazar aati thi

us say kahii'n achi thi ..


( yeh maah-o-saal ka toofaa'n bohat zalim he.
w0h agar pass bhi hoti to kisay khabar he kaisi hoti !! )


y0n to har raat

Mere dil par giraan guzarti he

phir bhi aey bhoolay h0we !!

Tu hi bata

Gham ki zanjeer bhala

jagtay,, s0chtay rehnay say kahan kat'ti he !!


Yeh jo aahat si abhi
nikhat-e-gul ki tarah phaili he

Tere qadmoon ki sadaa lagti he ..


Jab kabhi koi jahaaz

Yaad ki shamma liye

Gham ki be'chain hawa0n say guzarta he


Toh dil

shaam-e-furqat ke tasavvur say laraz uthta he..


Shaam-e-furqat !!

Jo haqeeqat he

Magar ~~ khwaab numa lagti he ..


Chaand jab abar ke tukroon par safar karta he

Toh y0n lagta he !!

Mai bhi ik abar ka tukra h0n

Jisay ~~
tera visaal ,,
tera ik lamha-e-visaal

daaimi hijr ke

undooh-e-musalsal kay aevaz baar nahi ..


Aey mujhay abar kay tukrray ki tarha choor kay janay walay !!


Tere bakhshay howay lamhay kay aevaz

kiYa mujhay daina paDa

is say sarokaar nahi !!


" Paanchvieen SaLGirah JudaaYi ki " ~~
Aaj manaoon shab bhar ..


Shaam-e-furqat ki tarah ~~
ashk baha0n shab bhar ..


Phir !!

Airport ki raiLing par

tika kay kohni

Tere rukhsat ka samaa'n

Dihaan main laoon shab bhar ..


Tu jo roti h0wi aankh0n say paray

Ajnabi dais ki gum'naam hawa0n main kaheen baithi he . . . /

Thursday, May 20, 2010

[ Do0sri JudaaYi ] bY...AL! RAZA

Teri khushbu ~~
Hawa k sabz daman mai basi

Toh

Soch ney

Ankh0n mai

is khwahish k dareechay khool kar

dil se kaha !!


Khuda shahid

keh hum ne Aaj tak bichrray how0n ko

phir kabhi miltay nahi dekha


Magar~~
Hairat sama'at pe

keh

Yeh yaad usi ki he

Jisay tum ne ganwaya tha..

Judai ki hawa~~
Jis ke mehaktay jism ki khushbu se khali thi

Jisay khonay ka her lamha

Her naye mausam ka haAsiL tha..


Sitaray jis ki sorat dekhnay
her shab nikalte thay..

Nazaray~~ Haath maltay thay
yaka yak


Shehar ki galiyoon main
us k naam ki khushbu urri ..


Mainey ~~
Rafaqat key

puranay narm lehjay main

usay Awaaz di

Us ney mujhay daikha ..

Magar ~~

Us ki aankhon main

faqat

Hairat havaida thi ...

keh jaisay poochta h0~~
Is tasadam ka sabab kia he ...???


w0hi chehra,
w0hi ankhain,
wohi khosh-o-waza paikar

keh jaisay~~
Mausm0n ka gham

Usay choonay se Qaasir ho ..


Main ~~
Bachay ki tarha shashdar khara tha

us ne

Baalon ko jhatak kar

s0okhtay Suraj ko gh0ora ,,

Rastay ko aankh mai toala ,,

Mujhay daikha...


Aur b0La !!!

Safar lamba he ...


Meri manzil~~

Tumhari rah guzar se

sainkarr0n Farang Aagay hay

Khuda Hafiz . . . /

Wednesday, May 5, 2010

[ Kaha Tha Naa !! ]

Kaha Tha Naa !!

Meri khaam0shiy0n ko tum k0i ma'ainay nahii dena ..

Judaayi ki sabhi baatain meri aankh0n mai padhLena ..


Meri is Muskurahat mai ,

ager mehs0os kar pao

toh ,, Mere Aansu'0n ki tum namii mehs0os kerna

Kahi jo reh gayi he ,,
w0h kamii mehs0os kerna ..


Meri s0chain !!

Mere alfaaz ka jab r0op leti hain

tumhara aks banta he ..


Meri neend0n mai jab jab ratjag0o'n kay deep jaltay hain

tumhara Zikr chalta he ..

Tumhari yaad ,,
Maazi k dareechay kh0oL deti he

Tumhari Shabnami aahatt mujhsay yeh bol deti he ..


Kaha Tha Naa !!

Hamare darmiyaa'n yeh faaslay Qismat mai Likhay hain

aur

Is Qismat k Likhay ko

badal tum bhi nahii sakti,
badal mai bhi nahii sakta


Mager mushkil yahi he hijr k parpaich rast0n per

sanbhal tum bhi nahii sakti,
sanbhal mai bhi nahii sakta


toh behter yeh he keh ,,

Hum ik d0usray ki yaad ke Hamraah h0jayain

Keh

ab ke is m0habbat se

nikal tum bhi nahii sakti,
nikal mai bhi nahii sakta ..


suno janaa'n !!

Tumhari shabnami aahatt mere andar Dharrakti he ..


Mager !!

Jab kham0shi se tum k0i ma'ainay nahii letii'n


to yeh dil r0oth jata he

Mere ander kahii per

kuch achanak

t0ot jata he . . . /

[ PaGLii ]

Woh Sari Baatain Yaad Aati Hain Us Ko


w0h Subhain ,
w0h Shaamain

w0hi Zindagi Ki Musafatain

Jinhain Gin Gin Kay Guzara Kartay Thay ..


Phir Jab

HaQeeQaton Main Wapis Lout'ta He

Toh

Muskura Daita He ..


Aur

Sar Jhatak Kay Kehta He ...

PagLi !!!

[ KiYa tu bhi Kisi Aur ki Ho jaye Gi ?? ]

w0hi din Laut aaye hai

jo

Maazi main bitaaye thay ..


Mere pehlu mai

jab usnay

m0habbat se bharay naGmay sunaye thay ..


Bahaarain,,
phir se aayi hain ..

Sajii hain Chaandni Raatain ..


Nahii ab t0rrni Qasmain ,,

Tumhara muntazir he diL ..


Mujhay

phir puchna he tum se

Mera saath do gi tum ... ??


Mujhay maaloom he

kah0gi tum kya !!

Mager phir bhi .....


Kiya w0hi taareekh phir se d0hraayegi ??


Kiya tu bhi kisi aur ki h0jayegi . . . !!!

[ Difference ]

Bicherrney aur Judayi mai zara sa fark h0ta he ..


Juda h0 ker !!

kisi se phir kabhi koi nahii milta ..


Bicherr jayain !!

Toh Milney ka imkaan rehta he ..


Juda h0 ker !!

kisi ki yaad dil mai reh nahii sakti ..


Bicherr jayain !!

Toh dil mai ik diya jalta hi rehta he ..


Juda h0 ker !!

kisi ka piyaar dil mai nahii rehta ..


Bicherr jayain !!

Toh dil mai bus usi ka piyaar rehta he ..


Toh phir ...

Aey ham'sakhin mere !!

Tu mera faisla sun le .....


Mujhay

Tum se bicherrna he


Judaa

Tum se nahii h0na . . . /