Saturday, April 23, 2011

[ Sheher-E-Nau'roz Main Bahaar Ka Pehla Din ]

Gul-E-Neelmee'n ..!!!

TujhaY dekhta h0n to,,!
PehlaY mera wajood Mehv-E-Darood-O-Sar Basjood hota heY



TereY Husn ki tarafgi-0-Jamaal per



TereY Rang Tazaah-0-tah Ba Tah kamaal per



Phir udaas hota hOn,,
Dekh ker.....
w0h jo ik khat malaal heY



TereY rang seY mereY khuwaab tak


Kahii'n khushbu'0n main basa hOwa,,
Kahii'n Aansu'0n main Gundhaa h0wa



Gul-E-Neelmee'n ..!!!

TujhaY kuch khaber bhi heY .!!



Intezaar ki Gard ,,,
Mausam-E-Sar-0-khuru ko siYaah ker keY guzer rahi heY



Gul-E-Neelmee'n ..!!!

Meri chashm-E-Khuwaab ka intisaab ilm seY heY



Teri shaakh-E-sabz ki aabru tereY dam seY heY



TereY rang tera silaah howeY,,
MereY khuwaab meri sazaa howeY



Soo Younhi sahi


Keh bhari bahaar keY pehlaY din keY taloo'u seY


Shab-E-khuwaab-E-raftaah keY anehdaam ki subah tak



Teri shaakh shaakh hari raheY,,
Meri aankh khoo'n seY bhari raheY . . . /

Sunday, April 3, 2011

[ Sorry ]

Raat jab us neY meri nazam suni


sun keY kuch dair w0h hairaan rahi
aur phir kehneY lagi..!!!


“ Tum to aiseY nahi'N likhteY thaY kabhi ..... Ye suKhan-goYi kahaaN seY seekhi ???


AiseY jazbaat kahaaN seY laaYe?

aur ehsaas ki shiddat itni? ”



Meri aaNkhoN meiN ubharteY Gham ko usneY mehsoos kiYa hi hoga



Aur rafaaqat keY w0h beetay lamheY ..... Jin ko shaaYad w0h bhula baiThi thi
ek saa’at ke liYe


Ghaaliban Yaad kiYa hi hoga



Is se pehleY keY larazti awaaz...
Aur palkoN peY thiraktay aaNsu us peY ilzaam koYi dhar detaY



MaineY nazroN ko bachaateY h0weY hauLeY seY kaha


“ PehleY aalam hi kahaaN tha aisa ..!!! ”




UsneY Yak laKht jhukaa lii'N aaNkheiN


Aur phir sehmeY h0weY lehjeY meiN

keh keY “ Sorry ”
h0wi ruKhsat mujhseY . . . /