Monday, November 30, 2009

[ Ab tum nahi paas mere ]

Ab tum nahi paas mere to
Aesa Lagta he keh !!!

saans hi nahi,
bahaar0n mai rang hi nahi,
ph0oLon mai khushbu nahi. .


Ye sehmi sehmi si zindagi he

nah kahii'n is mai khushi,
nah sitaar0n mai r0shni rahi

aajao keh,

intzaar he meri saans0n ko,
in bahaar0n ko,
in ph0oLon ko mehenkne ka,
sitaar0n ko chamakne ka. .

Aajao keh,

yeh intzaar khatam kardo

meri dunyaa mai aaker

mujhe mukammal kerdo. .

[ Aey hawaa ]

Aye hawaa !!
sirf dilbar se itna kehna keh

humney tujhey soochne,aur kh0jney
aur paaney ki sab khuwaahish0n ko

udaasi ki deewar0n main chhun dia he. .

tujhey piyaar se dekhney wali bisaarat mehr0om kerdi hey humne. .

tujhey paaney ki aarzu ko fanaa ker dia he. .

teri deed ki machalti thi jo khuwaahish

usey humne Dil se parey ker dia he. .

kadam jo tere raastey se baraber bhi na hat'tey they

ab sanam teri raah0n per parrte nahi hain. .

tere sheher mai anaa jana raha
na teri yaad mai shab bitana raha

woh haqeeqat rahi na fasana raha

chaand. . jisko tera ista'ara samajhtey they hum

usko dekhe howe arsaa howa

Aey hawaa !!
sirf itna sa dilbar se kehna. .

Saturday, November 28, 2009

[ nazar aa keh dhang se E!D ho ]

Aey Sitarah Shab-e-zindagi !!!

wohi shaam,

keher si shaam phir
tere naam hoto Ghazal kahain

w0hi shaam jis ki rag0'n main they

teri khwaab aankh0n k rattjagey

w0hi dho0p ki LaaLi,
tere Aarz0n peh khiLey to phir

rag-e-jaa'n se nazm kasheed h0
w0hi sa'at0n ka haj0um ho

w0hi rang h0, w0hi roshni
w0hi khushbu'0n ka haj0um ho. .

w0hi ik paL teri deed ka !

Jo miley to ashk damak uthain
jo bujhey hain daag chamak uthain. .

w0hi ik paL teri deed ka !

jo miley to dard ki 0at main
sabhi kehkahey se chhaLak padain

Sir-e-Looh Shaam-e-firaaQ phir
Gham-e-ishQ mauj-e-naweed h0

Aey Sitarah Shab-e-zindagi !!!

Idher aa keh jashn ho moatbar

nazar aa keh dhang se E!D ho. .

Monday, November 9, 2009

[ Pat'tharon Ki Basti ]

Kis basti mai aan basa h0n!
Jiske sarey log hain patther

raaste patther,
koochay patther,
ghar patther ke,
dar patther ke

jiski khatir main aaya tha !
Woh chehra bhi patther ka tha..

Jiski baatain patther ki thi,
jiska lehja patther ka tha

is basti ko chorr chala h0n,
har ik nisbat torr chala h0n..

Lekin !

Ik din phir aa0nga ..

Jis din main patther ban ja0nga ..

[ Na-Mumkin ]

Side table pe chaaye ka cuP..

Hath mei ISHQ pe likhi gayi ek dastaan ki kitaB..

Aur dil ye b chahay k chhat pe ja K

Raat ki tanhai,
Chand ki udasi,
Aur
lamhon ki be-basi kO

Apne andar utaar K

Khud ko ISHQ-E-LAHASIL mein qaid kr liya jaYe

Aur Esay mei kisi ki yad na aaYe

Na-mumkiN..

[ Suno! Main laut aaya h0n ]

Meri baatain,
Merey waaday,
Main apne saath laya h0n

Suno meri dharrkan mai
w0hi ik saÄz bajta he

Andaaz meri baat0n ka,
tera andaaz lagta he

khizaa'n k zard patt0n ko,
barf se Sard Mausam ko,
hijr ki Garm Äah0n ko,
tanhayi ki baah0n ko

Sun0 !
Mai ch0rr aaya h0n..

Abhi jo saakt baaki he
mera jo waqt baaki he

samaito mujhko baah0n mai,
mujhey chandd khushyan de daalo..

Mere sab gham samaito tum,
chandd Lamhey mujhko de daalo..

Main sab rishtay,
sabhi naatay,
sabhi bandhan,
sabhi dhaagay

sun0 !
Main torr aya h0n

Suno ! Main Laut aaya h0n..

[ Teri Yaad Ka Pinjra ]

Hum Teri YÄaD ke Pinjrey mai Qaid Panchi

Urrna chahA¡n bhi to,
yeh Soch ker urr nahi patey

Baher Tanhaayi ki Hawa hogi
Be'Rehem Waqt ki Fiza hogi

Kon dalay ga Tere Pyar ka Dana Humko !

Tujhse milny ka milega na Bahana humko

Din kahan guzrey ga
Uski to khabr hi nahi

Kesy guzry gi Raat?
Apna to koi Ghar bhi nahi

Bas ..

yehi Soch ker Khud ko smjhaatey hai akser

Teri Yaadon se hi Dil ko behlaty hai akser..

[ Meri s0ch ka Aik Lamha ]

Maine kab yeh s0cha tha !

Zindagi ki, Saans0n se badey faasley h0ngey .

tujhse milna chah0n to !

Aaj meri raah0n mai raaste khade h0ngey .


Maine kab yeh s0cha tha !

Tere saaye se baaher dh0op mai jalan h0gi

Rait mai chubhan h0gi,
Dard bhi karrey h0ngey .


Maine kab yeh s0cha tha !

Mere chahne wale d0or bas rahey h0ngey ..


Aur main fakat apne haath ki lakeer0n ko be'karaar aankh0n se y0nhi tak raha h0nga ..

Mere chahne wale mujhpe hans rahey h0nge .


Maine kab yeh s0cha tha !

Zindagi k dh0key mai umar jab bitaa d0nga,
khud ko jab mita d0nga ,

hijr yeh sadaa dega,

bebasi ki saans0n mai
zindagi nahi rehti .

Waqt k samundar se laakh khwaahishain chunLo,

bebasi ki mutthi mai rait bhi nahi rehti .

Aaj maine s0cha he ..
Aaj maine jaana he ..

Saturday, November 7, 2009

[ ph0oL Se Mukhtalif Lerki ]

Yeh Lerki to ph0ol se mukhtalif he

Aadhi mohabbat mere saamney,
Aur
Aadhi mohabbat mujhse chhup ker kerti he

Aadhi raat ko Aadhey Chaand se
Baatain kerti rehti he

Woh batain jo mujhse kerte
Uskey Hont Aur uski Saansain
Ruk jaati hain

Uski Palkain Jhuk jati hain

Aadhi Raat ko Takiye K neeche
Rakhi meri tasveer ko dekhti rehti he

Phir Khud se sharma ker

Takiye mai m0nh chhupa ker

Dair tak Hansti hey . .

Friday, November 6, 2009

[ Zindagi ]

Tum MujhY Zindagi KehtY hO

MujhY Yaqeen hY ..

Magar ,

Meri eK Khwaahish hY Keh

Us Zindagi K Baad ,
MujhY iK aur Zindagi MilY ..

taa'KeY ,

mein DaiKh SaaKOn ,

Keh Tum..

Meri Zindagi sY,
Kisi aur Zindagi TaK Ka Faasla

KitnY ArseY mein tY KertY hO..

[ Meri Mout ]

Mein sochta h0n

k jis din Mout k saaye mere ird gird mandlayen ge

Mere dost, aziz, sathi sab mere pass jama ho jayenge

SunoGey jab tum mere marne ki khabar

UrRenge hosh tere aur pair larrkhadayenge

Mujhe yaqeen he aakhri baar dekhny k liye tere qadam tujhe mere ghar khench layenge

Mere sarhane logo ka rush hoga

Unka rona dar-o-dewar ko hilayenge

Mere khulus ki jab dastan aam hogi

Ye tazkaray tere ehsas ko jalayenge

Tujhe wo wada reh reh k yaad aaye ga

K sath jiyenge sath mar jayenge

Wo din bhi tere zehen pey dastak dega

kabhi na halat k aage sir jhukayenge

Meri yaadein tujhey torr dengi

par aansu teri Aankhon se nikal na payege

Aur jab chal k aaoge meri laash k pass

Aur tujhey mere aziz mera chehra dikhayenge

Bejan jism ko dekh k kya sehlaa0ge tum?


Socho .. !

Kya mere bin Ji paa0ge tum?

Thursday, November 5, 2009

[ Faramosh Piyaar ]

Mujhy Yaad he

pichlay saal enhi dino'n mai

main ne tumhain apney ander

Satvie'n(7) bar Qatl ker ke wahie'n kahe'n
kisi viraney me Dafan kr dia tha..

aur Tumhari Qaber
Framoshi ke bhaari patharo'n se bhar di thi..


Aur oss se bhi pehley aik bar..

Door draz se aney waley kisi
Deo-haikal prindey ke pairo'n se
Tujhay baandh ke usey urra dia tha..


Aur pir uss se bhi pehlay bilkul enhi dino'n mei..

Main ne tujhey mukamal tor per Jala ke
Tumari Rakh aik Tez raftar Daryya me baha di thi..

Lekan is sari Jaa'n-kaahi ke bawajood..

Tum aaj phir..

Hamesha ki tarha ..

Meri Aankho'n mei Aankhe'n daley..

Aur mery Dil ko apni muthi me jakrey,
meray samney kharey ho...

[ Intizaar ]

Yaad he !!!
tum aur mein
pahadi wale shaher ki
lambi ghumaaodar sadak par

bina kuchh bole
haato me haat daale

bematlab beparwah meelo chala karte the

khambo ko gina karte the. .

aur jab mein chalte chalte thak jata tha
tum kehti thi bas us agle khambe tak aur..


aaj mein akela hi us sadak pe nikal aaya h0n

khambe mujhe ajeeb nigah se dekh rahe hain

mujhse tumhara pata poochh rahe hain

me thak kar choor choor ho gaya hoon

lekin wapas nahi lotna he,

himmat karke agle khambe tak pahuchna he


sochta h0n. .

Tumhe taiz chalne ki aadat thi. .

shayad. . .

Agle khambe pe pohunch kar
tum mera INTEZAAR kar rahi ho..

[ Tum pasandidah kitab ho ]

Aksar sochti rahi !!!

Main tumhari sabse zyada
Pasandida kitab ki tarah hoon

Jo neend mein bhi
Tumhare seene mein khul kar rehti he

Tum mujhe parrhte ho

Harf-Harf samajhte ho
Sparsh karte ho

Main aur bhi gehrey utar jati hoon

Tumhare ghar ke
Kone kone mein dikh jati hoon

Wahin-Wahin jahan jahan
Tum mujhe dh0ndte rahe

phir achanak Q !!!

Seene mein rakhi kitab ko
DheroN kitab ke beech rakh diya

Ek baar bhi nahi chaaha

kitab par jami dhool ko
hata dooN . .

usey usi jagah rakh dooN. .

Thora parh looN. .

Aur keh dooN

Tum hi meri pasandidah kitab ho . .

[ Haathon main Gajraa Thaame ]

Aaj woh Khhat Bhaijney K bajaye
Khud Chali Aayi

Usney Haathon main ik Gajraa Thama howa tha
Kaliyoun se bana howa

Usney Ziada Baatain nahi ki,

Kehney lagi !!!

Main Apni neendoun k Qatal k jurm main
tumhain Giriftaar kerne aayi h0n

Qaid Khana-e-Dil mai Qaid kerney aayi h0n

Thoda Izhaar Kerne Aayi H0n. .

Is sey pehley k main kuch kehta Usey


Usney Woh Gajra Meri Kalaaayi main pehna dia

Aur. .
Chal Di !!!

[ Tumhara Kuch Bhi Mera Nahi ]

Tumhari Zulfain
Tumhari Palkain
Tumhari Aankhain
Tumhara Chehra
Tumhare Shaaney
Suraahi Daar Gardan

Kalaayio'n Me Khanakte Kangan

Hinaayi Haatho'n Mai Unglio'n Ki Haseen Puurai'n
K Jin Me Sandal Mehak Rahi Hy

Ye Naram Saanso'n Ki Gungunahat

Qadam Uthao Tou Dharkane'n Sath Chorti Hyn

Badan Ka Har Zawiya Qayamat

Nahi Tumhari Misaal Jana'n

Kamal Ho Tum Kamal Jana'n

Tumhara Sb Kuch Haseen Hai, Lajawab Hy Par

Mera Nahi Hy

Tumhara Kuch Bhi Mera Nahi He..

[ Mujhey Khwaab Se Tabeer Ker Dalo ]

Kayi barson se jis pal ko
main dil ki jheel ki teh mai
sula k bhool bethi thi

wahi pal jaag utha to, kanwal ban ker chamak utha

main chonk uthi ke yeh kis tarha se hogya yakdam!

woh pal jaga to jese khoon ki saari hi shiryaanain
kisi ne khainch ker rakh dii'n . .

Laga pani ka rastaa bhool ker machli ne Goya Chhun liya sehraa. .

bagawat ka irada ker liya Saanson ke toofaan ne. .

Yeh Dharrkan gunguna uthi,

Laga pairon se ker sar talak shoaley bharrak uthey. .

Lahoo ki saari boondon ney Sulagney ki Qasam khaali. .

Pighalta hi gaya Jazboon ka soona moom ki tarha

un Aankhoun main Mohabbat ke hazaaron Deep jal uthey

Meri chundhiyaa gayi palkain. .

thaka maanda nazer aaya Falak ka chaand aakhir kaar

Sitaarey parr gaye maddham. .


Suno !!!
Meri ik baat Maanogey ???

Tum Apni Saari Chahat Ko Meri Jageer Ker Daalo

Wafa H0n main, Mujhey Pairoon Ki Tum Zanjeer Ker Daalo

MUJHEY AB KHWAAB SE TAABEER KER DAALO . .

[ Itne barson baad ]

Aadhi raat ke san'nate mein
kis ne phone kiya he mujhko !!!


phone utha ke ye lagta he
os janib koi gum sum ukhra ukhra
ahesta ahesta kanp raha he . .

Mehki hoyi si aik khamoshi he . .


lekin Us khamoshi mein bhi goonj rahi hein

thandi sansen,
barish,anso,

khamoshi se thak kar Us ne
saans liya to churri khanki. .

uff ye khann khann ,
sare badan mein phail gayi he. .

tere elawa koi nahen he
lekin itne barson baad?

[ Patjharr Main ]

jab jab patjharr mein
paiRRon se peele peele pat'te

mere lawn mein aa kar girte hein,


raat ko chatt par jaa kar main
akash ko takta rehta hon . .


lagta he !!!

kamzor sa peela chand bhi shayad

peepal ke sokhe pat'te sa
lehrata lehrata

mere lawn mein aa kar utreyga . .

[ Hamare pass kia he ? ]

Hamare pass kia he
Siwaaye ratjagon ke !

Jo tumhari chah ke roshan diyon ke sung
Humne bitaaye hain . .

Batao aey tabeb-e-jaa'n
Fakat y0n hi ganwaaye hain??

Nahi maloom woh lamhey

Ke jab sari khudayi
Khob gehri neend soyi he

Mager Q ker humari aankh
Unn lamhon mein royi he !


Suno mere maseeha!!!

Meri aankh ka rona
Mere dil ka tumhari chah mein khona
Mere humrah tumhari yaad ka hona


Humare pass to ab ye khazane hain
Afsurda zindagi mein
rang bherne ke bahane hain. .