Hamare pass kia he
Siwaaye ratjagon ke !
Jo tumhari chah ke roshan diyon ke sung
Humne bitaaye hain . .
Batao aey tabeb-e-jaa'n
Fakat y0n hi ganwaaye hain??
Nahi maloom woh lamhey
Ke jab sari khudayi
Khob gehri neend soyi he
Mager Q ker humari aankh
Unn lamhon mein royi he !
Suno mere maseeha!!!
Meri aankh ka rona
Mere dil ka tumhari chah mein khona
Mere humrah tumhari yaad ka hona
Humare pass to ab ye khazane hain
Afsurda zindagi mein
rang bherne ke bahane hain. .
Thursday, November 5, 2009
[ Hamare pass kia he ? ]
Posted by BROK3N H3ART at 1:47 AM
Labels: Dard-E-Tanhayi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment