Tuesday, December 15, 2009

[ December ki aakhri shab ]

Aj December ki aakhri shab mei

Shab-e-Tanhai mei

Apne Tayris pe khari kafi dair se

mein

Chodwiin k Chaand ko dekh rahi thi


jis ki chandni mei

mein bheeg gayi..

aur uss manzer mei itni doob gayi

keh !!
mujhe khabar bhi na ho saki

k kab

us ne meri bikhri zulfon ko sameta tha

aur . . .

chupke se kano mein sergoshi ki thi !!

apni mohabbat ka izhar kia tha

mujhe Ehd-e-Wafa mein bandh ker gaya tha

Wo lamha itna haseen tha

k ,,

Haya Se meri palkain jhuk si gayii thi..

Pichle Saal December ki aakhri shab aesi hi thi. .


Aur Aaj bhi

December ki aakhri shab he

aur mein soch rahi hon

keh !!!

Aj wo kis k saath hoga......?

K Aaj wo........

Kis ko apni wafa ka yaqeen dila raha hoga..

[ Meri Tanhaayi Aur December ]

Humare haal par roya DECEMBER

wo dekho toot ker barsa DECEMBER

guzar jata he sara saal y0n to

nahi kat'ta magar tanha DECEMBER

bhala barish se kya serab ho ga?

tumhare wasal ka pyasa DECEMBER

woh kab bichhra?
nahi ab yaad lekin

bus itna ilm he k tha DECEMBER

y0n palkein bheegti rehti hein aise

meri aankhon mein jesy a thehra DECEMBER

jama ponji yehi he umer bhar ki

meri tanhaayi aur mera DECEMBER. .

[ Suno December !! Usay Pukaro ]

Suno December !!
Usay Pukaro..

Suno December !!
Usay Mila Do..

Ab. .
Is Se Pehley K Saal Guzre

Ab. .
Is Se Pehley K Jaan Nikle

Wohi Sitara Meri Lakeer0n Mai Qaid Ker Do

Is Akhri Shab K Aakhri Pal Koi Bada Ikhtitam Ker Do

Ye Zindagi Bi Tamam ker Do

Suno December !!
Usay Bula Do. .

[ Ab Tum bhi Laut aao ]

Use kehna !!
December Laut aaya hy..

Hawayan sard hei
or vaadiyan B dhund mei gum hai

Paharr0n ne barf ki shaal
phir se orrh rakhi hy

Sabhi raste tumhari yaad mei pur'nam se lagte hei

Jinhai Sharf-e-Musafat tha


Woh saare cards,
w0h perfume,
w0h choti C diary,
Woh teris or chaye !
Jo hum ne sath men Pi thi

Tumhari yaad laate hei,
Tumhei wapis bulate hei ..

Usey kehna K

dekho y0n satao na

December Laut aaya hy

Suno !!
Tum bhi Laut Aao na . .

[ December without y0u !! imposible ]

December lout aya he

hawayein sarad hei

aur zindagi !!

tanhaayi k zindaan mei
larzaan he..

usey kehna . . .

dhoop nahii niklegi
to baraf kese pihglegi !!

usy kehna?

agar wo lout na aya to

sansain kese aayengi ??

[ Last Day 0f December ]

December k maheenay ka w0h shayad aakhri din tha

Guzray baras kaheen maine
mohabbt lafz Likha tha

Kisi kaghaz k tukrray Per

Achanak Yad aaya he

Guzre baras kaheen mujhko
Kisi se bat kerni thi

Usy kehna tha jaan_e_jaan!
Mujhe tum se møhabbat he

Mager !!
Mai keh nahi Paya


Wo kaghaz aaj tak Lipta Para he dhøøl mei

Lekin,,Kisi kø de nahi Paya

December Phir k aya he
December Phir k ja raha he

Magr!!

Døbara chah ker bhi mai

mohabbt ker nahi Paya..

[ pehley mujhe apna bana Lo ]

Aey mere humsafer !!

samay k saath saath

mainey khizaa’n ko

khair-abaad keh diya he. .

Ab bahaar mere aangan mai he

mainey apni shakhsiyaat mai
rang0n ki mehfil sajali he

jo rang tumhain bhaaye

churaaLo. . .

Mager thehro !!

pehley mujhe apna bana Lo. .

[ DECEMBER JAB BHi AATA HE ]

w0h pagli . . .!!!

phir se beetay mausam ko
yad kerti he

puraNe cards parrhti he

keh, jis maiN usNe likha tha,

Mai Laut0ngA DECEMBER MEi..

Naye kaprey baNati he,
woh sara ghar sajati he,

DECEMBER k har aik diN ko
woh giN giN ker bitati he. .

joo’N hi 15 guzarti he,
woh kuch kuch toot jati he

magar phir bhi,

puraNi albums ko khol ker
maazi ko bulaati he . .

Nahi maloom yeh us ko,

K beete waqt ki khushiyaaN
boht takleef deti hai

mehiz dil ko jalati haiN. .

y0nhi diN beet jate hai,

DECEMBER laut jata he

mager w0h khush feham larki !!!

dubara se caleNdar mai,

DECEMBER k mahiNe k safhey ko morr ker

phir se

DECEMBER k sehar maiN doub jati he. .

keh . .
Aakhir usNe likha tha,

MAi Laut0ngA DECEMBER MAi..

[ chandni December ki ]

Raat usne pucha tha

tumko kesi Lagti he chaandni December ki?

Maine kehna chaha tha

saal-o-maah k baarey mai guftagu k kya mayine!

Chahey k0i manzer h0,
dasht h0,samander h0,
June h0 ,December ho

dharrkan0 ka her nagma,
kurbaton ka her Lamha

manzar0n peh bhaari he

Saath jab tumhara ho,
dil ko ik sahara ho

aesa lagta he jese
ik nasha sa taari he

Lekin uski qurbat mai kuch nahi kaha maine

takti reh gyi mujhko

chandni December ki..

[ December ]

December jab b lot’ta he,
Mere Khamosh Kamre Mein

Mere bister pe bikhri Hui Kitabian Bheg jati hain. . .

[ December Ki Sard Ratain ]

TujhSe Judaayi Ka Dukh,
Tere Hijr Ka Kurb

Dekh !!
Phir Se Aa Gayi Hain

December Ki Sard Ratain,
Azaab Ratein

Tere Kurb Mai Doobi
Khwaab-Nak Raatain

Teri Woh Pur Noor Ratain

Tujhe Kia Khaber

December Ki Sard Ratoon Mai

Tere Sung Beeti Sardion Ki

Khoshgawar Khobsurat Shamoon Ko
Yaad Kerta h0n

Is Moho0m Si Tamana K Sahare

Teri Talash Mai Sarrkoon Per
Awara Phirth h0n

Aate Jate Chehr0n Mai Tujhe Khoja Kerta h0n

Shayad K Wo Tum Ho !!

Aur Thak Haar Ker Jo Laut’ta h0n

To Khud Per Khob Hansta h0n

Phir !
Phoot Phoot Ker Roota h0n..

[ December ki baarish ]

w0h. . .

jisey baarish pasand nah thi

na janey Q !!!

Aaj dair tak tanha

December ki baarish mai

bheegta raha . .

[ DECEMBER to DECEMBER he ]

Hamara saath deny ko

Saawan ke bharey baadal
Galey mil mil ke royenge

Phir itna paani barsega
Samander seh na payega

Karo na zidd chaley aao

Rakha he kia DECEMBER mei!!

Dilo’n mei piyaar he to phir

Maheeny sarey ache hai

Kisi bhi piyary mausam mei
Chupkey se chley aao

Chlao ab maan bhi jao

DECEMBER to DECEMBER he,,

DECEMBER ka bharosa kia !!

DECEMBER beet jayega. .

[ December Ki Udass rutt ]

December Ki Udass rutt
Laut aayi he

nami aankhon mei lye

Aur keh rahi he mujhe

keh

tere waste ab ki baar bhi

mere daman mei sirf
tanhayi he..

[ December muntazir he ]

Woh lamhe Soch ki dehleez per thehry howe hai

December k maheney mai
Hazaron saal pehle

jub Tery vaaday k honton ne

Meri aankho se behti zindagi k Haath choomy they

Meri be’rang baaton k kinary

Tumne khawbon k saharey
aur aashkon k sitarey
rakh diye the

Aur..

Hawa ko apni chahat ki hifazat ka ishara kr dya tha

Hawa ki khunkiy0n mai ab bhi teri narm baatain

Aahaton ka jal bunti hai

Sama’at ab bhi tery

qheqa’hon ka shor sunti he

Khayaal ab tak tumhari ungliyon se

Mery dil k surkh aansu poonchte hai

Nigahain barf k pehly chamakty kanves per ja baja

Teri rafaqt ki zarurat pyintt karti hai

Thher’tharatey paaniy0n k tann pe bikhri dhoup

tera hijr rooti he

Kahan hoti he tu?

Muhabat ki sulagti rahguzaaron k kinaron per

December ab bhi tera muntazir he..

[ Dekh December!! Ab Mat Aana ]

Dekh December!!
Ab Mat Aana

Dekh December!!

Mere Ander Kitne Sehra Phail Chuke hai

Tanhaayi Ki Rait Ne Mere
Sare Dariya baant Dye Hai

Ab Mei Hon
Aur Mere Banjar Pann Ki Bojhal Tanhaayi

Dekh December!!

Teri Baraf Shabon Mei,
Teri Bekhwab Shabon Mei

Khuwab Sweater Kon Bune Ga!

Rooh K Ander Girti Barfen Kon Chune Ga!

Dekh December!

Apne Dukh Ki Barf Pehen Kr

Dhop Diyaron Tak Mat Jana

Mre Pyaron Tak Mat Jana

Dekh December!
Ab Mat Ana
Ab Mat Ana..

[ December Dard ]

Suna he diary Likhte ho tum ?

kesa bhi mausam ho
tumhare haath mai

Qalam rehta he

apne dil ka sara bojh haLka kerte ho

kaaghaz0n se baatain kerte ho

Lafz0n ki dunyaa banate ho

suna hey diary Likhte ho tum ?

tumhari zindagi ka her Lamha tumhari diariy0n mai chhupa he

w0h sab tumne likha he,
jo tumney jiya he

diariy0n ko sajaya he,
unhai banaya he

Suna he boht chah se rakhte h0 ?

Suna he diary Likhte ho tum ?

mujhey bus aik baat puchni he

kabhi Lafz December bhi Likha he tumne !

December ki sard taweel raat0n mai

kabhi to likha hoga December ko. . . .!!!

kabhi nikLa hoga tumhare QaLam se bhi

December Dard ?

aur Lafz0n main dhaLa hoga

w0h Dard sard. . . . !

itni diariyaan likh chuke ho tum

mujhey bus yeh batao

December jab bhi likha hey tumney. . . . .

Tumhare aansu bhi behte hain ?

tumhari zard aankh0n se bhi

sard December behta he ?

mujhey yeh batao

w0h aansu kese r0kte hain ?

suna he…..!!
Diary Likhte ho tum …. ?

[ Suno December !! ]

Suno December !!
Tum mat aaya karo..

Jab tum aate ho to

udasioN ki andekhi BarishoN mei dil bhigo dety ho..

Tum aate ho to

barfeeli si tanhaayioN
Ki sard hawa

Kaanton ki tarha rag-e-jaan mei chubhne lagti he

Aur

Akeley pan mei dukh jaga ker neendoN ko nighal jate ho..

Aur

Jo apni judaayi ki dhundh mei kahiin kho gaye hai

Hum unse bohat door ho gaye hai

Unki yaad phir se aaney lagti he

Sunoo December !!
TUM MAT AAYA KARO..

[ December ki sard hawa0n ]

December ki sard hawa0n
Us se milo to kehna..

Keh aaj bhi Us ki yaad

Kisi k dil mai
Mustaqil Khaima zan he..

Koi aaj bhi usay

Uthtay,bethtay,sotay,jagtay,
Hanstay,rotay

Yaad karta he..

December ki sard hawa0n
Us se milo to kehna

K aaj bhi Kisi ki palkain
Sir e sham hai

Us k intizar mai
Beech jati hai

Aaj bhi koi Us ke lye
Udas rehta he

December ki sard hawa0n
Us se milo to kehna

K aaj bhi Kisi k din rat
Us kay bin

Sogawaar guzertay hai

Aaj bhi Kisi ki aankhain
Us ke liye Num rehti hai

December ki sard hawa0n,
December ki sard hawa0n

Us se milo to kehna ..

[ December ab k jana ]

December ab k jana !!

to jaatey jaatey un ke aaney ka sandesa dete jana

Kuch jhoota moota,
kuch toota ph0ota sa,,

ik dilasa de jana. .

Aur

Ager w0h na aaye toh

itna Ehsaa’n kerte jana

agLey saaL mere jeevan mai

Tum bhi Laut k mat aana . .

[ December ja raha hay ]

Usay kehna !!
December jaraha he. .

Decemeber kay guzartay hi

Baras ek aur mazi ki fizaon mei doob jaega

Usay kehna !!

December ka maheena jaisay guzrega

Umedein doob jayengi,
Woh sapnay toot jayenge

Usay kehna !!

December kay guzarnay say zara pehlay

Mohabbat ko koi tabeer de jaye

Usay kehna !!

Muqadar ko hamaray doob janay say bacha lena

Usay kehna !!
December ja raha hay . .

[ DECEMBER lout aaya ]

DECMBER lout aaya he

Tumhare lout aane ki nai umeed jagi he

Abhi pichley baras tumne
Mere hathon pe rakh k hath

Haya se mouh chupaya tha..

Abhi pichley baras hi to

DECEMBER k maheney mei
Tumhein bahon mei thama tha

Aur

April aane tak

Tumhari jheel aankhon mei naya sapna sajaya tha

Mere chote se angan mei
Tumhei vehshat si hoti thi

Mujhe tumne bataya tha..

Kisi ki qaid mei rehna
Mujhe acha nahi lagta

Mai ik azaad panchi h0n

Suna he phir se tanha ho
September k maheney mei !!

Aise b0hat khamoosh rehte ho

K jis ko tumne chaha tha

Wafa k naam se usko buhat vehshat si thi

Woh ik azaad panchi tha

Kisi ki qaid mein rehna use acha nahi lagta

Suna he mere angan ki
Tumhein ab yaad aati he

Suna he tum pashema’n ho!!

Chalo phir aisa kerte hai

DECEMBER ka maheena he

Naya agaaz kerte hai

Tumhein baahon mei le lon mai

Mere seeney pe sar rakh k

Haya se mouh chupa lo tum

DECEMBER lout aaya he..

[ December ka Aakhri din ]

December k maheenay ka w0h shayad aakhri din tha

Guzray baras kaheen maine
mohabbt lafz Likha tha

Kisi kaghaz k tukrray Per

Achanak Yad aaya he

Guzre baras kaheen mujhko
Kisi se bat kerni thi

Usy kehna tha jaan_e_jaan!
Mujhe tum se møhabbat he

Mager !!
Mai keh nahi Paya

Wo kaghaz aaj tak Lipta Para he dhøøl mei

Lekin,,Kisi kø de nahi Paya

December Phir k aya he
December Phir k ja raha he

Magr!!

Døbara chah ker bhi mai

mohabbt ker nahi Paya..

[ Ab K December mai ]

Ab K December mai

mainey bhi kuch khwaab sajaye hai

Apni sard aankh0n mai ..

Per dar Lagta he

kahi yeh mere khwaab

PighaL na jayain
Dh0op parrne per..

[ December aan pahuncha he ]

Abhi hijr ka qayaam he aur December aan pahuncha he

Ye khabr shahr mei aam he December aan p0huncha he

Aangan mei utar aayi he manoos si khushbu

Yadon ka azdahaam he December aan pahuncha he

Khamoshiyon ka raaj he khizaan taak mein he

Udasi bhi bahot aam he December aan pahuncha he

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom

Naye saal ka ahtamaam he December aan pahuncha he

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi he

Jaadday ki udaas shaam he December aan pahuncha he

Tum aao to mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye

Nayi rut to sar e baam he December aan pahuncha he..