Tuesday, December 15, 2009

[ December muntazir he ]

Woh lamhe Soch ki dehleez per thehry howe hai

December k maheney mai
Hazaron saal pehle

jub Tery vaaday k honton ne

Meri aankho se behti zindagi k Haath choomy they

Meri be’rang baaton k kinary

Tumne khawbon k saharey
aur aashkon k sitarey
rakh diye the

Aur..

Hawa ko apni chahat ki hifazat ka ishara kr dya tha

Hawa ki khunkiy0n mai ab bhi teri narm baatain

Aahaton ka jal bunti hai

Sama’at ab bhi tery

qheqa’hon ka shor sunti he

Khayaal ab tak tumhari ungliyon se

Mery dil k surkh aansu poonchte hai

Nigahain barf k pehly chamakty kanves per ja baja

Teri rafaqt ki zarurat pyintt karti hai

Thher’tharatey paaniy0n k tann pe bikhri dhoup

tera hijr rooti he

Kahan hoti he tu?

Muhabat ki sulagti rahguzaaron k kinaron per

December ab bhi tera muntazir he..

0 comments: